Mulaqaat
Aao zara phir mil aaye apne bachpan se
Arsaa beet gaya ussey mulaqaat huye
Chalo un nadaaniyon ka darwaaza khatkhataayein
Arsaa beet gaya unsey mulaqaat huye
Woh kulfi si jami huyi yaadein ab aankhon se pighalti hain
Arsaa beet gaya unsey mulaqaat huye
Woh befikra atkheliyon ki dahleez veeran padi hain
Arsaa beet gaya unsey mulaqaat huye
Kitaabo se mehakte huye din na jaane kahan gaye
Arsaa beet gaya unsey mulaqaat huye
Paseene se guftagu karti saundhi mitti banjar padi hai
Arsaa beet gaya ussey mulaqaat huye
Baarish ka pani un kaagaz ki kashtiyon ko tarasta hai
Arsaa beet gaya ussey mulaqaat huye
Kahan gayi woh hatheliyan jin mein zindagi ki lakeeren hua karti thi
Arsaa beet gaya unsey mulaqaat huye
Kabhi ped ke sirhaane baith dhoop se aankh michauli khelte they
Arsaa beet gaya unsey mulaqaat huye
Iske pehle ki maut hamara istaqbaal kare, aao zindagi se mil aayein
Arsaa beet gaya ussey mulaqaat huye