Daulat
Ek arsey se jiski kashmakash mein jeeye jaa rahe hain hum
Jeena kya janaab bas saansein liye jaa rahe hain hum
Kya ye hi asli daulat hai
Jise paane ke liye ek arsey se khud ko khote jaa rahe hain hum
Jise jeetne ki khwaaish mein khud se haarte jaa rahe hain hum
Kya ye hi asli daulat hai
Jise apna banane ke junoon mein khud se beghaane huye jaa rahe hain hum
Jise deni thi jeb mein izzat, usey dil mein mohabbat diye jaa rahe hain hum
Kya ye hi asli daulat hai
Jiske liye laalach ke samundar mein umra bhar gotey lagaate rahe hum
Jise paane ki hawas mein apno se beghaane huye jaa rahe hain hum
Kya ye hi asli daulat hai
Kuch sasti khushiyaan jeetne ki jung mein kuch apne keemati ho gaye naaraaz
Iss sawaal ka jawaab dhoondne ki udhedbun mein kat gayi umra daraaz
Kya ye hi asli daulat hai
Khwaaishon ka caravan jab nazron ke saamne bikharta hua dekha
Tab sapnon ke saudagaro ka girebaan pakad kar pooch baitha
Kya ye hi asli daulat hai
Main bas isi ghalatfaimi mein jeeta raha ki kharid lunga khushiyan tamaam
Khwaabon ko kaudiyon ke daam bikte dekha toh khud hi ko pooch baitha
Kya ye hi asli daulat hai
No comments:
Post a Comment