Manzil ki aarzoo mein
Ek umra kat jaati hai, ek rooh mit jaati hai
Manzil ki aarzoo mein
Ek aabudana toot jaata hai, kuch apne chhoot jaate hain
Manzil ki aarzoo mein
Kuch dost rooth jaate hain, kuch rishte toot jaate hain
Manzil ki aarzoo mein
Kuch khwaab bikhar jaate hain, kuch khwaahishen chhoot jaati hain
Manzil ki aarzoo mein
Kuch aashiyane veeran ho jaate hain, kuch baraamde sooni reh jaati hain
Manzil ki aarzoo mein
Kuch palkein bheeg jaati hain, kuch sukoon chhin jaata hai
Manzil ki aarzoo mein
Kuch caravan chhoot jaate hain, kuch raastein bhool jaate hain
Manzil ki aarzoo mein
Bechaini dil mein har waqt rehti hai, chain alvida keh jaata hai
Manzil ki aarzoo mein
Tarakki ki seedhiyaan chadhte huye, pyaare paaydaan chhoot jaate hain
Manzil ki aarzoo mein
Dost lagaate hain ilzaam, aur dushman ke muaqqil ban jaate hain
Manzil ki aarzoo mein
Kabhi baith mere paas ae zindagi kuch sawaalat karne hain tujhse
Ye bata kya khoya tune aur kya paaya maine
Manzil ki aarzoo mein
No comments:
Post a Comment