Masroofiyat
Chah kar bhi dil ki aarzoo poori nahi kar paate
Kuch iss tarah hamein rokti hai ye zindagi ki masroofiyat
Kuch armaan dil ke godaam mein qaid hain saalo se
Unhe pura nahi hone deti zindagi ki masroofiyat
Kai chahne waale kho gaye yaadon ke bawandar mein
Unse mukhatib hone nahi deti zindagi ki masroofiyat
Kai khwaab chhoot gaye zimmedariyon ke mele mein
Unhe dobara paane ka mauka nahi deti zindagi ki masroofiyat
Dil kehta hai chalo puraane doston se rubaroo hua jaaye
Naqaabposh dushman ban jaati hai zindagi ki masroofiyat
Mohabbat ka daaman thaame jo nikla Khwaishon ke caravan mein
Nafrat ka sailaab ban doobo gayi ye zindagi ki masroofiyat
Jinke bagair kabhi ek pal bhi jeena munaasib nahi tha
Unke bagair jeena sekha deti hai zindagi ki masroofiyat
Jin rishton par kabhi khud se zyada yakeen aur naaz tha hamein
Unhe parda-nasheen ajnabee bana deti hai zindagi ki masroofiyat
Sochta hun jab maut dastak degi dil ke darwaaze par
Tab darkhwast karunga mujhe rok le ae zindagi ki masroofiyat